Chhedi ek guftgu bande ne Apne parvardigar se,
To pucha Bande se khud Khuda ne
‘bata kya hai teri khwahish?’
‘Banade mujhko itna be garaz, ki pyar Dil khol kar karu
Par Dil de kar Dil Lene ki aas na rakhu
Jab Dil tute to shikwa ke bina duaaon Ko Ada karu
Aur jab sachha saathi mile, to tujhe shukriya kahu’
Sunkar khwahish hua Khuda hairaan
‘Aisi takat to mujhme bhi nahi ki puri karu teri ye aarzu
Yeh hai teri khud hi se khudki ek Jang,
Tolna hoga khudko, banke khud hi ek tarazu.
Jeet hai mushkil, par nahi hai namumkin
Jab utarle yeh taleem apne zehen me to ana milne ek baar,
Azad Mai bhi Azad tu bhi, kyonki tab tu hoga khud apna Parvardigar
—
poem ©Nirav Shah
Photo : Liane Metzler